Tuesday 30 September 2014

TODAY IS THE SIXTH DAY OF NAVRATRI CELEBRATIONS I FEEL EXTREME PLEASURED TO PRESENT YOU ALL THE GREAT BHAKTI BHAJAN OF GODDESS DURGA WITH WORDS,"JAG KI RAKHWALI KARNE WAALI,HAI JAGADAMBE MAIYAA"

Jaga ki Rakh waali karnay waali,
Hai Jagadambe maiyaa
Mahima tumharee hai niraalee,
Hai Jagadambe maiyaa
Tayree dayaa say jeetay hai maiyaa,
Tayree bharose chalti hai maiya
Ghar Ghar hai sukh-say hai 
dewaale.  Hai…
Dukhiyo ke ghar mein sukh 
baithaade
Andhiyaare ghar mein deeya 
jalaade
Sab ki mitaade raate kaali. Hai…
Charno may baithe aasa lagaaye
Binti hamaari khaali na jaaye
Lelo ye aarti ki thaali. Hai …

Explanation
O, Mother You are the guardian of 
the world. O Mother Your greatness
 is unique, only through Your 
kindness we exist.  -  Our boat of 
life goes on because or Your faith. 
Because of You there is light in 
every home. 
You bring happiness in
 the homes of unhappy people. You 
kindle lamps in the homes, which 
are dark.  -  You rid the world of 
dark nights. O Mother of the world. 
We sit at Your feet, full of hope.
 May our requests no go 
unanswered. Do accept this 
offering 
of aarti. O Mother of the world

Monday 29 September 2014

AS WE ARE STILL IN A PHASE OF NAVRATRI CELEBRATION I AM PRESENTING TO ALL READERS THE BEAUTIFULLY CARVED BHAJAN OF GODDESS DURGA WITH WORDS,"DURGATI HARNI DURGA AMBE TERI JAI JAIKAR HO"

Durgati Harni Durga Ambe, Teri jai jai kaar Ho
Bhaw bhai taarinee Bhawaani ambe, Teri namaskar ho
Durgati Harni Durga Ambe, Teri jai jai kaar Ho
Teree hee abhaa se jyoti, Suraj Chand sitare hai
Teree hee Maa Shakti lekar, khare huwe ye saaree hai
Ambe jai jai Ambe, Sukh dayi ho, srishti saaree
Halka dukhka Bhar ho Teree jai jai kaar Ho, Durgati…
Vishwanba sab shakti to, Brahmalok par ant hai
Teree mahima ka he maiya, trehe ag arwan karay
Ambe jai jai Ambe, Shankachak he Bramhanee
Charan kamal ko pyaar ho, Teree jai jai kaar Ho, Durgati…
He Maha devi he Maha Kali, Dushto Ka Samhar Karo
Mangal may var dan do Maiya, Bhow se  bera paar karo
Ambe jai jai Ambe, Bhav bhakti me sharan me aaye
Binti Ma sweekaar ho, Teree jai jai kaar Ho, Durgati…

Oh Mother you are the savior, Durga and the Sacred Mother  Oh Mother Amba! We pay our salutations Mother You are the destroyer of all fears. You are the Queen of Shri Shiva to You We bow at Your lotus feet The sun, the moon ,the stars, they all are enlighten because of your glow and beauty Because of all your powers,
 they exist in this world May all the world become full of joy Please give joy to all the sad people because only you are the giver of joy Oh, Great Goddess, You are the Benefactress Please kill all the devils and bad people Mother give us the auspicious blessings Take us away from the illusions We have come to your lotus feet and with our devotions Please accept our prayers

Saturday 27 September 2014

AS NAVRATRI IS PROCEEDING LET US ENCHANT SOME BHAJANS OF MAA LUXMI THE GODDESS OF WEALTH AND PROSPERITY.PRESENTING TO ALL BEAUTIFUL BHAKTI BHAJAN WITH WORDS,"HAY MAHA LUXMI MAA,HAY MAHA LAKSHMI MAA...AAYE SHARAN TERE,RAKH LAAJ MERE"

Hey Maha Lakshmi maa, Hey Maha Lakshmi maa
Aaye sharan tere, rakh laaj mere, Tu aaj dikhaado mahima
Hey Maha Lakshmi maa…
Tu antaryaami dukh jaane mere gheeta
Mere maathe lagaa hai aaj kalank ka teeka (2)
Mai teree pujaaree mere bhakti neeraale (2)
Maa aaj meree ek baar naa jaaye khaalee
Har joor bharee teree shakti baree 
Tu aaj dikhaado mahimaa, Hey Maha Lakshmi Maa…
Mere bhaagya pe maiya, duniya aaj jalee hai
Mere punya ke paapi, paap nachaal chalee hai 
Sansaar ke aage meree aaj parikshaa 
Ab tuhee kar saktee he meree rakshaa
Maa paap jhuke aur punya uthe 
Tu aaj dikhaado mahimaa, Hey Maha Lakshmi Maa…

Friday 26 September 2014

ON THE SECOND DAY OF NAVRATRI I AGAIN PRESENT TO ALL READERS THE BEAUTIFUL MAA DURGA BHAJAN WITH WORDS,"DURGA MAA DURGATI DOOR KARO,MANGAL KARO SAB KAAJ MAN MANDIR UJWAL KARO,KRIPA KARKE AAJ

Durga maa durgati door karo, Mangal karo sab kaaj
Man mandir ujawal karo, Kripa karke aaj
Aisaa pyaar bahaade maiya (2)  Charno se laga jaa-u mein
Sab andhakaar mitaade maiyaaa,  Darasha tera kar paa-u mai
Aisaa pyaar bahaade maiya
Jag mein aakar jag ko maiya, (Ab tak naa pahachaan sakaa)
Kyu aauaa hu kaha he jaanaa,  (Ye bhi naa mai jaan sakaa)
(Tu hai agam agochar maiya),  Kaho kaise lakha paa-u mai…
Kar kripa Jagadambe bhavaani,  (Mai baalak naadaan hu)
Nahi aaraadhan japa tapa jaanu, (Mai avagun ki khaan hu)
(De aisaa vardaan hai maiya),  Sumiran tera gaa-u mai…
Mai baalak tu maiya meri,  (Nishadin teri khota hai)
Teri kripa hee mai teri,  (Bheetar jo bhi khota hai)
(Sharan lagaalo mujhko maiya), Tujko par balabala jaa-u mein…

Thursday 25 September 2014

HAPPY NAVRATRI TO ALL.AS WE ALL ARE CELEBRATING NAVRATRI FROM TODAY I PRESENT TO ALL BEAUTIFUL MAA DURGA AMRITVANI.ENCHANT THIS AMRITVANI TO GET THE BLESSINGS OF MAA DURGA..

Mangal mai bhya mochini, Durga sukh ki khaan
Jiske charno ki sudha, Swayam piye bhagwaan
Dukh nashak sanjeevani, Nav durga ka paath
Jisase banta bhikshu kabhi, Duniya ka samrat
Amba divya swarupani, Kaye so prakash
Prithvi jisase jyotirmay, Ujawal hai aakash
Durga param sanatani, Jag ke sirjan haar
Aadi bhawaani maha devi, Shristi ka aadhaar
Jai jai durge maa
Sad marg pradarshini, Nyan ka ye updesh
Man se karta jo manna, Usake kate kalesh
Jo bhi vipatti kaal mein, Kare ri durga jaap
Puran ho man kamna, Bhage dukh santap
Utpan karta vishv ki, Shakti aprampar
Iska archan jo kare, Bhav se utre paar
Durga sok vinashini, Mamta ka hai roop
Sati satvi satvanti, Sukh ke kala anup
Jai jai durge maa
Vishnu brahma rudra bhi, Durga ke hai adheen
Buddhi vidya vardhani, Sarva siddhi praveen
Lakh chaurasi yoniyan, Se ye mukti de
Maha maya jagdambike, Jab bhi dayaa kare
Durga durgati nashini, Shiv vahini shukhkar
Ved mata ye gayatri, Sabke palanhar
Sada surakshit wo jan hai, Jis par maa ka haath
Vikat dagariya pe usaki, Kabhi na bigde baat
Jai jai durge maa
Maha gauri vardayini, Maiya dukh nidaar
Shiv duti brahamcharini, karti jag kalyan
Sankat harni bhagwati, Ki tu mala pher
Chinta sakal mitayegi, Ghadi lage na der
Paras charnan durga ke, Jhuk jhuk matha tek
Sona lohe ko kare, Adbhut kautak dek
Bhavtarak parmeshwari, Leen kare anant
Isake vandan bhajan se, Paapo ka ho ant
Jai jai durge maa

Durga maa dukh harne waali, Mangal mangal karne wali
Bhay ke sarp ko marne wali, Bhav needhi se jag taarne wali
Atyachar pakhand ki damni, Ved purano ki ye janani
Daitya hi abhiman ke mare, Deen heen ke kaaj sanwaare
Sarv kalaon ki ye malik, Sarnagat dhan heen ki palak
Ichchhit var pradan hai karti, Har mushkil aasan hai karti

Dhyamari ho har bhram mitave, kan kan bhitar kala dikhave
Kare asambhav ko ye sambhav, Dhan dhanya or deti vaibhav

Maha siddhi maha yogini mata, Mahisa sur ki mardini mata
Puri kare har man ki asha, Jag hai iska khel tamasha
Jai durga jai jai damyanti, Jeevan dayini ye hi jayanti
Ye hi savitri ye koukari, Maha vidya ye karo upkari

Siddh manorath sabke karti, Bhakt jano ke sankat harti
Vish ko amrit karti pal mein, Yehi tairati patthar jal mein
Iski karuna jab hai hoti, Maati ka kan banta moti
Patjhad mein ye phool khilaave, Andhiyare mein jyot jalaave

Vedon mein varnit mahima iski, Aisi sobha or hai kisaki
Ye narayani ye hi jwaala, Japiye iske naam ki mala

Ye hi hai sukeshwari mata, Iska vandan kare vidhaata
Pag pankaj ki dhuli chandan, Iska dev kare abhinandan

Jagdamba jagdiswari, Durga dayaa nidhaan
Iski karuna se bane, Nirdhan bhi dhanwaan

Chhin masta jab rang dikhaave, Bhagyheen ke bhagya jagaave
Siddhi daati aadi bhawaani, Isko sewat hai brahm gyaani.

Shail sutama sahkti saala, Iska har ek khel niraala
Jis par hove anugrah iska, Kabhi amangal ho na uska

Iski dayaa ke pankh lagaa kar, Ambar chhute hain kayi chaakar
Rayi ye hi parwat karti, Gaagar mein hai saagar bharti

Iske kabze jag ka sab hai, Shakti ke bin shiv bhi sav hai
Shakti hi hain shiv ki maya, Shakti ne bramhand rachaaya

Is sakti ka sadhak banana, Nisthawan upasak banna
Pushpanda bhi naam hai isaka, Kan kan mein hai ghaam isaka

Durga maa prakaas swaroopa, Jap tap gyaan tapasya roopa
Man mein jyot jala lo isaki, Saachi lagan lagaa lo iski

Kaal raatri ye maha maya, Shridhar ke sir iski chhaya
Iski mamta pawan jhula, Jisko dhyanu bhakt na bhula

Iska chintan chinta harta, Bhakto ke bhandar hai bharta
Sanson ka sur mandal chhedo, Nav durga se muh na modo

Chandra ghanta katyayani, Maha dayalu maa shiwani
Iski bhakti kasht niware, Bhav sindhu se paar utaare
Agmanant agochar maiya, Sheetal madhukar iski chhaiya
Shristi ka hai mul bhawaani, Ise kabhi na bhulo praani

Durga maa prakas swaroopa, Jap tap gyan tapsya roopa
Man mein jyot jala lo isaki, Sachi lagan lagaa lo isaki

Durga ki kar sadhana, man mein rakh vishwash Jo magoge paoge

Wednesday 24 September 2014

TODAY I AM PRESENTING TO ALL READERS THE BEAUTIFUL BHAKTI BHAJAN OF GODDESS SARASWATI CONSIDERED TO BE THE DEVI OF VIDYA MEANS EDUCATION.ENCHANT THIS BHAJAN TO BE STRONG IN ACADEMICS.

Bando Saraswati Ganraaoo.

Jin Ki kripa muk ati bolay, Pangu laanghi giri jat swabhaawoo
Ratnamaal galmen atee shobhe, Modak bhojan men ati chaawo

Sadgun khaan soojaan hota so, Neka dhyaan hiya aawat kaaho
Saraswati Suta jo nar sumire. Hota budhi bal sheeghra athawo

Daas Jan ham sab par dayanidhi. Kariye kripa kataksh pasawo

Explanation
Worship unto Mother Saraswati  and Ganesh  Upon whose mercy the dumb becomes an orator. the cripple crosses mountains.  -  Wearing a garland studded with gems. finding great delight In offerings of sweet meats and delicacies.  -  The home of noble virtues, entering the perception oj only a few who meditate.

  Together with Saraswati Mata whoever worship the Lord Ganesh Ji. their Intellect and physical power and strength know no limits.  -  Knowing us to be Your servants. Oh! merciful ones, having mercy on us please protect and save us.

Monday 22 September 2014

ON THIS AUSPICIOUS DAY MONDAY I PRESENT TO ALL READERS THE BEAUTIFUL BHAKTI BHAJAN FOR LORD SHIVA THE CREATOR OF WORLD WITH WORDS,"MANAWAA RE BHAJ LE SHIV SHANKAR AVINAASHEE"

Manawaa re bhaj le Shiv Shankar Avinaashee,
Oh mamuvaa re! To bhajle Shiv Shankar Avinaashee
Bhav saagar se taare uanako jo jan seve kaashee
O manuvaare! O bhaje le, Too bhajle

Shiv Shankar avinashee har har Mahadev
Parvati pati avadhar daanee hain bhole bhadaaree
Dhan sampadaa lutaate jag ko aap baghamabar
Bhakata un ko dete mahal ataare
Aap shamshaan ke vaasee to bhaj le
Ganga jee ko jataa men lekar phir dhartee par utaaraa
Har har gange-jai maan gange bol uthaa jag saara
Jai maan gange har har gange
Dhany ho gaae, tripat ho gaee jo dhartee thee pyaasee
Too bhaj le Shiv Shankar

Saturday 20 September 2014

TODAY IS SATURDAY AND ON THIS DAY WE CAN ALSO ENCHANT THE BHAJANS OF LORD HANUMANJI TO GET THE BLESSINGS OF LORD SHANI...SO ENCHANT THIS BEAUTIFUL BHAJAN TO GET THE BLESSINGS OF LORD SHANI AS WELL AS LORD HANUMANJI.

Jai Shree Hanuman. Jai Shree Hanuman. Jai Shree Hanuman.
Mangal Murti mar ke nandan. Sakal mangal murti kandan
Pavaan tanai ya sankat hitakari. Hridai viraajat avadha bihaari
Jai jai jai Bajaranbali. Jai jai jai Bajaranbali. Jai jai jai Bajaranbali.
Mahabeer Hanuman gosaye. Tumhare yaad bali. Jai…
Sadu sant ke Hanumat pyare.  Bhakti hridai Shree Ram dulari
Ram rasayan pyas tumharee.  Sada rahu tum Ram duharray
Tumhree kripa se Hanumart beera.(2).  Sadure beep tutalee. Jai…
Tumhree sharan maha suka daye.  Jai jai jai hanuman gosaye
Tumhree mahima tulsi gaye.  Jag jane Seeta maha maye
Shiv shakti ke tumharay hridai (2). Jo tu maha Anjalee. Jai…
Seeya Ram charan Hanumat vale.  Bhaktan ke to batan tale
Paap agin se sab ko bachallay.  Phir aye duka badal kale
Bin tere aba kom bachaway (2).  Aaise se ambi chalee. Jai…