ai mere vatan ke logon
tum khuub lagaa lo naaraa
ye shubh din hai ham sab kaa
laharaa lo tirangaa pyaaraa
par mat bhuulo siimaa par
viiron ne hai praan ganvaae
kuchh yaad unhen bhii kar lo -2
jo laut ke ghar na aaye -2
ai mere vatan ke logon
zaraa aankh me bhar lo paanii
jo shahiid hue hain unkii
zaraa yaad karo qurbaanii
jab ghaayal huaa himaalay
khatare me padii aazaadii
jab tak thii saanss lade vo
phir apnii laash bichhaa dii
sangiin pe dhar kar maathaa
so gaye amar balidaanii
jo shahiid...
jab desh me thii dIwaalii
vo khel rahe the holI
jab ham baithe the gharon me
vo jhel rahe the golii
the dhanya javaan vo apane
thii dhanya vo unkii javaanii
jo shahiid...
koii sikh koi jaat maraathaa
koii gurakhaa koi madaraasii
sarahad pe maranevaalaa
har viir thaa bhaaratavaasii
jo khuun giraa parvat par
vo khuun thaa hindustaanii
jo shahiid...
thii khuun se lath-path kaayaa
phir bhii banduuk uthaake
das-das ko ek ne maaraa
phir gir gaye hosh ganvaa ke
jab ant-samay aayaa to
kah gaye ke ab marate hain
khush rahanaa desh ke pyaaron
ab ham to safar karate hain
kyaa log the vo divaane
kyaa log the vo abhimaanii
jo shahiid...
tum bhuul na jaao unako
is liye kahii ye kahaanii
jo shahiid hue hain unkii,
zara yaad karo qurbanii
jay hind... jay hind kii senaa -2
jay hind, jay hind, jay hind -
No comments:
Post a Comment