Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Mann Mein Ho Tere Ek Sachchi Lagan
Siya Ram Ki Dhun Lagale Naam Ki Dhun
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Jisko Lagan Ye Lagi Hai
Saari Bigadi Usi Ki Bani Hai
Usne Paya Dhan Jeevan Ka
Jo Rakhe Hiye Mein Prabhu Ke Charan
Kuchh Bhi Ho Magar Chhute Naa Lagan
Siya Ram Ki Dhun Lagale Ram Ki Dhun
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Jab Daud Vishaye Ki Chhute Re
Aur Jagat Swapan Sa Deekhe Re
Mamta Ki Dor Bhi Khul Jaye
Tab Hari Charit Lage Meethe Re
Aisa Tu Bhi Karle Re Jatan
Siya Ram Ki Dhun Lagale Naam Ki Dhun
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Sang Santo Ka Jab Tu Karega
Ek Ashraye Jo Unka Rahega
Fir Jag Janit Iss Peeda Ko
Vo Kripalu Swam Hi Harega
Ho Ja Bus Unhi Santo Ki Sharan
Siya Ram Ki Dhun Lagale Naam Ki Dhun
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Paana Prabhu Ko To Karna Bhajan
Mann Mein Ho Tere Ek Sachchi Lagan
Siya Ram Ki Dhun Lagale Naam Ki Dhun
No comments:
Post a Comment