Wednesday 12 February 2014

BEAUTIFUL LINES OR WE CAN SAY A BEAUTIFUL PHRASE FROM RAMAYANA..A HOLY BOOK OF HINDUS

            Sundar Vakya from Ramayan  

1- Sabse badi shakti man ki hai, parantu man ek chanchal ghode ki bhanti kabhi sthir nahi rehta. Yog ke dwara chitra vrattiyon ka virodh karke jo man ko kabu kar leta hai, uska man sarv vyapi aatma ke aadheen hone se wo sansaar ki samast shaktiyon par adhikar paa leta hai.

2- Apne karm ki achhayi aur burai ko har ghadi har samay parkhte rehna chahiye. Apne karm ko parkhne ke liye manushya ke paas ek hi kasauti hai- wo ye soche ki yadi mai issi samay mar jaayun to mera ye karm kis ginti me aayega. Isliye yadi koi bhool ho jaaye to use tatkaal sudhar lena chahiye. Ye kabhi na sochna chahiye ki aaj ki bhool ko kal sudhar loonga, kyonki kabhi kabhi “Kaal” kal ka samay nhi deta.

3- Dharm ke marg par chalne k liye gyan ka prakash aawashyak hai. Yadi gyan ka prakash na ho to andhkaar purn marg par Dharm ek andhe ki bhanti bhatak sakta hai.

4- Jahan jeewan hai wahin Mratyu hai, jahan mangal hai wahin amangal bhi sath khada hai. Kewal Sukh ko pakadne jayoge to usi ki chhaya me Dukh ko bhi khada payoge. Atah jo dukh aur sukh dono se virakt hokar aatma me leen hota hai, wahi shashwat aanad ko paata hai aur usi ko Mukti kehte hai.

5- Jaise varsha ka jal sabhi ped paudho par ek saman girta hai, parntu kisi ke laal phool nikalte hai aur kisi ke peele. Isi prakar ek hi vidya ka bhinn bhinn pradiyon par unke sanskaar aur swabhav ke anusaar bhinn bhinn prabhav padta hai.

6- Patthar par liye shabd kabhi nhi mit te, parantu paani par likha kshad bhar bhi nhi rehta. Man me krodh aur shatruta ko utni der hi rakhna chahiye jitni der paani par likha reh sakta hai.

7- Dhan ke atirikt bhi insaan kuch aur de sakta hai- ek meetha sabd, ek pyaar bhari muskaan, aur uska mol to Dhan se bhi adhik hai.

8- Har ek prani bhagwaan ka awataar hai, parantu wo apni hi maaya ke jaal me bhans kar apne aapko nhi pehchanta. Is maya jaal se Swayam ko pehchaan kar prani mukta ho sakta hai. Apne bhagwat swaroop ko jaankar swayam hi apne aapko phasata hai aur swayam hi mukti ka sadhan puchhta phirta hai. Yahi to mayapati ki maaya hai.



No comments:

Post a Comment