Friday 15 August 2014

TODAY IS INDIA'S INDEPENDENCE DAY ON THIS DAY THE DAY OF PRIDE AND HONOUR FOR US I WOULD LIKE TO PRESENT THE READERS THE BEAUTIFUL BHAKTI SONG OF LORD GANESHA...LORD GANESHA IS WORSHIPPED BEFORE ANY NEW WORK IS STARTED.

Vighan vinashak ganraye Bhaye se mukt kare
Isaki daya se bhaktan ki Bhav se naav tare
Parvati lalana ka mann se Bhajan tu karta ja
Karuna ki is murat se Mann vanchhit phal pa
Jiske ghar me ganraj ke Naam ka deep jaale
Uss ghar ke har jeev ki Har ek bandha tale
Jinkpe karuna swayam kare Gauri sut maharaj
Palak jhapakte hi unke Siddh ho jaate kaaj
Jai jai shri ganesh Jai ganpati ganesh
Mitti ke hai hum bane Ganpati pran swaroop
Vo hai rachaiya hum rachana Vo suraj hum dhoop
Sada samarpan bhaav se Jaye ganpati paas
Jeevan gathari ka tumko Kasht na dega bhaar
Nar narayan rishi muni Jiska mann na kare
Deen heen ke vo swami Ghadi me paap haare
Gun gaurav aur gyan ki Ganga gapati preet
Isake sadhak ko jag mein Kaal sake naa jeet
Jai jai shri ganesh Jai ganpati ganesh
Aaadi siddhiya hi jiski Seva kare din rain
Uske charan saroj se Jode rahiye nain
Mann mandir me tu basa Amba lal ganesh
Kast nast ho jayenge Mitenge sakal kalesh
Tribhuvan ke is naath ka Chitt se chintan kar
Janam janam ki peeda teri jayegi haar
Sagar hai prabhu prem ka pyasa ban kar dekh
Amrat maye ho jayenge buddhi aur vivek
Jai jai shri ganesh Jai ganpati ganesh
Ghatt ghatt ki janta shiv nandan bhagwan
Charan sharan me jaa to Sahi vo to hai daya nidhan
Deen ka shouk vishaad ko harta ganpati jaap
Ek dant ke aarchan se Darte dukh santaap
Kshad bhangur tu bulbula Jyo sapne ki baat
Ese tu jhad jayega jaise vraksh se paat
Nayasheelata daya dharam gajanan se seekh
Shankar sut se mangle satt guno ki bheekh
Jai jai shri ganesh Jai ganpati ganesh

No comments:

Post a Comment