Jag me sundar hai do naam, chahe Krishna kaho ya Ram
Bolo Ram Ram Ram, Bolo Shyam Shyam Shyam
Bolo Ram Ram Ram, Bolo Shyam Shyam Shyam
Makhan vraj me ek curave, ek ber bhilni ke khave
Prem bhav se bhare anokhe , dono ke hai kam, cahe Krishna …
Ek kans papi ko maare, ek dust ravan samhare
Dono din ke dukh harat hain , dono bal ke dham, cahe Krishna …
Ek hrday me prem badhave, ek pap santap mitave
Dono sukh ke sagar hai aur , dono puran kaam, cahe Krishna …
Ek Radhika ke sang saje, ek janaki sang viraje
Cahe sita ram kaho ya , bolo radhe shyam, cahe Krishna …
Dono hai ghat-ghat ke vasi, dono hai anand prakaasi
Bandhu sada govinda bhajan se , milta hai visram, cahe Krishna …
Jag me sundar hai do naam, cahe Krishna kaho ya ram
Bolo Ram Ram Ram, Bolo Ram Ram Ram
Bolo Shyam Shyam Shyam, Bolo Shyam Shyam Shyam
No comments:
Post a Comment