Saturday 12 July 2014

PRESENTING YOU ALL THE FIFTH PART OF GREATEST EPIC OF HINDUS CALLED THE RAMAYANA..ONE OF THE ANCIENT AND GREATEST EPIC IN THE WORLD...IT WILL BE PRESENTED TO YOU IN THE FORM OF 6-7 EPISODES....

Chahe mastak kate hamara, mai nahi dekhun badan tumhara
Mere tan man dhan hai Ram  ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))
Upar se mudrika girai, sita ji ne kanth lagai
Hanuman ne kiya pranam ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

Mujhko bheja hai Raghuraia, Saagar koodh yaha main aaya
Main hoon Ram dass Hanuman ((Ram SiyaRam SiyaRam Jai Jai Ram))
Bhuk lagi phal khana chahun, Jo mata ke agya paao
Sab ke swami Shri Ram ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

Savdhan hokar phal khana, Rakhwalon ko bhool na jana
Nischaro ka hai yeh dham ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))
Shree Hanumant ne vrisha ukhare, Dekh dekh mail lalkare
Mar-mar pohnchai dham ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

Akshey kumar ko swarg pahonchaya, Indrajeet phansi le aya
Bhramapashse bande Hanuman ((Ram SiyaRam SiyaRam Jai Jai Ram))
Sita ko tum lota dijo, Unse kshama yachana kijo
Teen lok ke Swami Ram ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

Bhagat vibhishan ne samjhaya, Ravan ne usko dhamkaya
Sunmukh dekh pahe Hanuman ((Ram SiyaRam SiyaRam Jai Jai Ram))
Rui tel ghrit basan mangai, Poonch band kar aag lagai
Poonch ghomai hai Hanuman ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

Sab Lanka mein aag lagai, Saagar main ja poonch bhujai
Hriday kamal main Rakhe Ram ((Ram SiyaRam SiyaRam Jai Jai Ram))
Saagar koodh laut kar aye, Samachar Raghuvar ne paiye
Jo manga so diya inam ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

Vanar reech sang mein laye, Laxman sahit sindu tat aye
Lage sukhane saagar Ram ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))
Setu kapi nal neel banavein, Ram Ram likh shila taravain
Lanka pohnchaiye Raja Ram ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

Angad chal Lanka main aaya, Saba beech main panv jamaya
Bali putra maha Baldham ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

Ravan panv hatane aya, Angad ne phir panv uthiya
Kshama kare tujko Shri Ram ((Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram))

No comments:

Post a Comment