Thursday, 29 May 2014

PRESENTING YOU ALL THE MOST BEAUTIFULLY CARVED PRAISE SONG FOR LORD RAMA...THE INCARNATION OF LORD VISHNU WITH WORDS'"JAISE SURAJ KI GARMI SE JALTE HUE TAN KO.MIL JAAYE TARUVAR KI CHHAAYA"ENCHANT TO GET POWERED WITHIN

Jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram

Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya

(bhatka hua mera mann tha koi
Mil na raha tha sahaara) - 2
Laheron se ladti hui naav ko - 2
Jaise mil na raha ho kinaara
Mil na raha ho kinaara

Us ladkhadaati hui naav ko jo
Kisi ne kinaara dikhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Sheetal bani aag chandan ke jaisi
Raaghav krupa ho jo teri - 2

(ujiyaali poonam ki ho jaaye raatein
Jo thi amaavas andheri) - 2
Jo thi amaavas andheri
Yug yug se pyaasi marubhumi ne jaise
Saawan ka sandes paaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya

(jis raah ki manzil tera milan ho
Us par kadam main badhaaoon) - 2
(phoolon mein khaaron mein patjhad bahaaron mein
Main na kabhi dagmagaaoon) - 2
Main na kabhi dagmagaaoon
(paani ke pyaase ko taqdeer ne jaise
Jee bhar ke amrit pilaaya) - 2
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram

Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya

No comments:

Post a Comment